Jaipur ki Galiyaan
Bandhej ke rangon mein sani
Itihaas ke panno mein lipti
Kahin koi matmaili deewar
To kahin maun katputliyon ka swar ninaad
Kahin ek dedh sau saal purana kaath ka camera
apne andar dashkon ki daastan chupaye baitha hai
To kahin lassi ke toote kulhad
kuch samay pehle beete harsho ullas ki gaatheyein suna rahe hain
Ithlati
Garvaanvit
Ye hain
Jaipur ki galiyaan !
Leave a Reply
Want to join the discussion?Feel free to contribute!